Thursday 28 April 2011

Bachpan Yaad Aya

Do din pehle ek bahut purane friend se mulakaat hui. Saurabh Datta. mil kar purane din yaad aa gaye. kafi dosto ke bare me baat hui. Asif, Amir, Rajeev, Arshi, Monika, Priya, Akhilesh, Priyanka tripathi, aur bhi bahut se log yaad aye.
                        Mujhe dhundhla sa aaj bhi yaad hai jab Pita ji ne Red Rose School me Admition karvaya tha. main vaha anjaan kai dher sare bachho se mila tha. mujhe yaad hai ki meri pehle hi din priyanka tripathi se ladai ho gai thi. aur usne mere chehre par nakhoon ke nishaan dal diye the usne mujhe buri tareh nikota tha. tab Pita ji ne uski shikayat principal se ki thi aur usne mujhe sorry bola tha. uske nakhoon ke halke nishaan aaj bhi mere chehre par hain. vo ladki mujhe ab bhi yaad ati hai.
                     Mera sabse pehla school friend Gaurav Tiwari tha vo mujhe bahut pyara tha. main hamesha uske paas hi baithta tha. aur mujhe vo ladki Monika bhi yaad hai jo class me sabse sundar thi. vo mujhe bahut achhi lagti thi. aur mujhe K.G. class ki ek baat bhi dhundhli si yaad hai. K.G. class me ek new admition  ladki aai thi jiska naam Priya tha. vo sundar thi usko devendra ne prapose kar diya tha. saurabh aur rajeev bhi uske peeche pade the. usne pareshaan hokar apna section change karva liya tha. us wakt bhi ham kitne shaitann hua karte the mujhe yakeen nahi hota.
                   Mujhe First class ki ek bhi ghatna yaad nahi par second class ki kuch ek ghatna yaad hai. Mujhe yaad hai ki main, Vivek, Renu god teeno ek saath ek hi seet par sabse peeche baitha karte the. Renu god hamesha mere bagal me baithati thi main hamesha Gaurav ko pass baithane ke liye kehta tha par renu mere paas se kahi nahi jati thi. vo hamesha mere saath hi baithti thi. ek baar Asif ne mujse keh diya tha ki Renu aur tum bahut chipak kar baithte ho tum dono me koi chakkar hai kya? tabse main Renu se door door rehne laga tha.par Renu fir bhi mujhse chipak kar baithati thi. mere age ki seet par Monika baithti thi usse main aksar baat karta tha. jise Dekh kar Asif ne fir se mujhe kaha tha ki tum me aur Monika me kuch hai tab mujhe pata nahi kya hua ki maine monika ko prapose kar diya tha. vo chutpan ki ajeeb harkat soch kar mujhe aaj bahut hasi ati hai. Tab Shaktimaan serial T.V. par aya karta tha. us wakt uski nakal karte hue mere class ke ek bachhe ko sir par choot aai thi aur uske blood nikal aya tha.
                  Mujhe Third class ke din bhi yaad hain. Asif Aur saurabh aksar logo ke lunch kha jaya karte the. Monika ka lunch to kai baar saaf kar diya tha. mujhe yaad hai ki vo pehle sabse puch liya karte the ki aaj tum lunch me kya laye ho aur fir claas ke dauraan hi cupke se lunch bag se nikaal kar kha liya karte the fir Inter well me unhe punishment bhi milti thi. unko apne lunch ka adha khana dena padta tha. hamaari Section D ke ladko se hamesha ladai hoti thi. ek din faizaan naam ke ek ladke ne mujhe kafi mara tha. dusre din maine uski ankh par maar kar uski ankh suja di thi, us din mam ne mujhe data tha. ek baar to main aur Rajeev ladai karte hue pakad liye gaye the aur principal mam ne hame mara tha. mere class me Atul naam ka ladka bhi tha jo aksar mam ko Hathi Ghoda Paal Ki Jai Kanhaiya Laal Ki song par dance karke dikhaya karta tha. mujhe mimicring ka bada shauk tha main kai heero ki awaz bol kar mam ko dikhata tha. shktimaan (Mukesh khanna ji) ki awaz main bahut achhi nikala karta tha.
                   Ab vo din sochta hun to maza aata hai sochta hun fir bachpan me chala jaun par ja nahi sakta muje apne purane kai sathiyo ke naam aaj bhi yaad hain-- Asif, Amir, Arshi, Gaurav Tiwari, Rahul Patel, Akhilesh, Vivek, Mahendra, Sandeep, Devendra, Rajeev, Monika, Jyoti Yadav, Surbhi, Priyanka Tripathi, Atul, Abhishek, Virendra, Neetu, Renu God, Sanjay, aur bhi bahut the par naam yaad nahi. main aaj bhi unhe dhundhta hun claas 3rd ke baad maine Red Rose School chhood diya. fir Sab Alag ho gaye.
                                  Sach me!!! kya bachpan tha.!!!...

Wednesday 27 April 2011

Cricket Match

kal bahut dino baad maine cricket khela bahut maza aya par thak bhi gaya. thakaan ab bhi ho rahi hai. kal kafi daat bhi padi ghar par. kyo ki cricket khelne ke chakkar me maine dava der se khai.
            kafi dino baad  cricket khela vo bhi 3 ghante lagataar. ye kafi thakaan bhara tha. meri teame kal 1 bhi match nahi jeet saki. 4 match aur no wining match. kitna kharab pradarshan hai. vaese to ham cricketaro ki kafi alochna karte hain bar jab ham khud isi sthiti me hite hain to kuch nahi keh pate.
           cricket to aaj bhi khelne jana tha par thakan itni jyada hai ki ja nahi saka. aur maa bhi mana kar rahi thi.

Monday 11 April 2011

By Rohit.

Majburi kya thi aapki kabhi batayi to hoti,
is judaai ki wajah kabhi samjhayi to hoti,
apni jaan bhi de dete ham tohfe me aapko.
meri maut ki khwahish jatai to hoti.
jaan kar bhi tum anjaan rahe,
mere dil ke fasane ko.
apni hi kahani kabhi sunai to hoti.
yu chale jana tha meri yado ki mahfil se 
to armano ki sej hamne sajayi na hoti,
mujhse dur rahkar tu khus hai apno ke sath me,
na karte mohabbat tujhse.to ye rushwayi na hoti,,
                                                          .... By Rohit...

Na chhu saku tujhe to kya tera ehsaas hi kafi hai.
na pa saku tujhe to kya teri aas hi kafi hai.
kya huwa jo na mili hasrto se saji rate.
tere sath gujri meri wo ek raat hi kafi hai,
khusiyo ki dhup me gam ki ghata chha gayi.
fir aankho se jo barsi wo barsaat hi kafi hai,
tumse milne ka to mera nasheeb na ye "hamdam"
khwabo me tujhse bas ek mulakaat hi kafi hai".
                                                        .... By Rohit...