ADHUNIK PURAN

OOM GANESHAY NAMAH



Vartmaan samay me itni buraiyan vidhyamaan hain jo Kalyug ka prakop kahi jati hai parantu ane vale samay me is Dharti par isse bhi adhik aur ghor Kalyug  ane vala hai Jisme sampurna manav jaati nasht ho jayegi. Aaj main ek aisi bahut hi ati upyogi tatha rahasya may baat batane jaraha hun jo padhne vale tatha sunne vale ke liye ati mahatvapurn evam upyogi hogi, tatha jo ise padhne tatha sunne ke baad bhi upyogi evam kalyankarak nahi samajhta fir uske liye kuch bhi kahan uchit evam shreshtha nahi hoga,



Jab Praaramh me kuch bhi nahi tha keval Shunya (0) tha tab Shri Bhagvaan ne yhan nirakaar roop me prakat hokar brammhand ki rachna ki, yah nirakaar rup adhunik kaal me Maha vispot ke naam se jana jata hai. tabhi to Shri bhagwaan ne geeta me kaha hai “,r|ksuhfu HkwrkfulokZ.khR;qi/kkj;A vga d`RL=L; txr% izHko% izy;LrFkk AA” Arthat He Arjun ! tu aisa samajh ki sampurn bhut in dono prakratiyon se hi utpann hone vale hain Aur main sampurn jagat ka prabhav tatha parlay hun  arthaat sampurn jagat ka mul karan hun. Age Sri Bhagvaan Kahte hain ki “eRr% ijrj aUkkU;fRdfUpnfLr /kuUt; A

ef; loZfena izksra lw=s ef.kx.kk bo AA” Arthaat He Dhananjay ! mujhse bhinn dusra koi param kaaran nahi hai. yah sampurn jagat sutra me sutra ke maniyon ke sadrishya mujhme gutha hua hai... Is prakaar Shri Bhagvan ne swayam hi apne aapko Mahavispot ke samaan bataya hai jo ki Adunik kaal me pure Brammhaand ki Utpatti ka mul karan kaha jata hai. Geeta ke Satven Adhyay se ye panktiyan hain aur is satven adhhyay ko padh kar ya sun kar Aur kuch janne yogya nahi rah jata.



          Is Prakar Brammhand ki utpatti ke baad Akaash gangaye aur hamare saur mandal ka nirmaan hua. tatha Iswar ne Apne Sakaar roop me aakar Shrishti me kuch mahatva purn vastuo ki rachna ki. Unhone Sarva pratham Devon Aur Danavon ko Banaya Aur Dharti Par Vyavastha sthapit Karne ke liye 4 Varn banaye Brammhan, Ksatreey, Vaishya, Aur Shudra. Sri Bhagvaan ne Devon ko shisht swabhaav ka banaya tatha Danavon ko Ashisht swabhaav ka. Sri Bhagvaan ne Aisa is liye banaya kyonki Vidhi ka vidhaan hai ki Koi bhi vastu ho chahe vah Bhagwan ki banai ho ya Manushya ki uska ant nishchit hai, Atah Srishti ke vinash ke liye do virodhi swabhaav ke logon ka hona ati awashyak tha. Yadi Aisa na kiya jata to Is Srishti ki Rachna ka koi avchitya nahi rah jata. fir yah srishti anant kaal ke lye sadaiv bani rahti Jo vidhi ke vidhan ke purntaya virudh hota. Athah Sri Bhagvaan ne Devon ko banakar, unhe Swarg Diya aur Danavon ko Pataal lok, tatha Srishti ke liye 4 Yugon ke kaal banaye Gaye

1.     SAT YUG

2.     TRETA YUG

3.     DWAPAR YUG

4.     KAL YUG

Shri Bhagwaan Ne In Charo Yugon ki rachna Prithvi ke nirantar vinaash kaal ki or jane ke liye banaye. aur kaha ki Nirantar yug beetne par Prithvi par Paap Badhte jayenge aur vah vinaash ki oor chali jayegi arthat Mrityu ko Praapt ho Jayegi, Is Prakaar Prithvi lok ko Mrityu Lok kaha gaya Tatha Yaha janm lene vala pratyek prani mrityu ko rapt hone vala hota hai. Kal Yug Is Mrityu lok ka Akhri Yug Kaga gaya hai Is yug ke ant kaal me sampurn prithvi nasht ho jayegi. Tatha Shri Bhagvaan ne Mrityu Lok ko Kal Yug Tak Theek Prakaar se chalane ke liye Tatha Dharm ki sthapna aur Paap ko kam karne ke liye yaha janm athva prakat hone ki baat kahi hai. unhone Geeta ke chaothe adhyaay me Kaha hai “;nk ;nk fg /keZL; XykfuHkZofr Hkkjr A vH;qRFkkue/keZL; rnkRekua l`tkE;geAA” Arthat He Bharat! Jab Jab Dharm ki Hani aur adharm ki vradhhi hoti hai, tab tab main apne roopko rachta hun  arthaat sakaar roop se logon ke sammukh prakat hota hun. “ifj=k.kk; lk/kwuka fouk’kk; p nq”d`rke~ A /keZlaLFkkiukFkkZ; lEHkokfe ;qxs ;qxs AA” Sadhu Purushon ka uddhar karne ke liye paap karm karne valon ka vinaash karne ke liye  aur dharm ki sthaapna ke liye  main yug yug me prakat hua karta hun.



          Kyonki Devta Achhi prakrati ke the aur danavon me kaam moh lobh krodh tha is liye devtaon ko shreshta sthan diya gaya aur ve swarg me Nivaas karne lage, parantu danavon swarg ke liye tatha uchh sthaan ke liye devtaon se yudhha karne lage. Sat Yug me Jab deva sur Sangram hone laga tab Rakshaso Arthat Danavon ke guru Shukracharya ne Sanjeevni viddya ka Prayog karke Rakshason ki yudhh me madat ki Devtaon dvara mare gaye Rakshason ko Shukracharya ne sanjeevni vidya se jeevit kar diya. is prakaar yudh me Devtao ki sena kamjor padti gayi. aur Rakshas sabal hote gaye. Tab Sri Bhagvaan ne Devtaon ke hit ke liye Samudra manthan karne ka upay diya. parantu yah manthan sirf Devtaon se sampan hone vala nahi tha tab Sri Bhagvaan ne Rakshaso ke lalchi pravrati ke hone ka upyog kiya aur kaha ki Samudra Manthan devon aur danavon dono ke liye hit karak hai. usme nikla Amrit dono ko diya jayega. tatha aur bhi bahut si bahumulya vastue niklegi jiska batvara devon aur danavon me barabar matra me kiya jayega. is tarah danav sagar manthan ke liye taiyar ho gaye. Aur sagar manthan shuru ho gaya usme sabse pahle nikla Vish Jise Bhagvaan Shankar ne kanth me dharan kar liya fir usme anek bahu mulya vastuen nikli jisme bahut se Manik, the Aur kalp vriksh, Kamdhenu, Lakshmi ji, Rravat Hathi tatha anek vastue nikli jinka dono me samaan tarike se batvara hua parantu Jab Ant me Amrit nikla Tab Shri Bhagvaan ne Mohni roop dharan kiya aur sabhi devtaon ko chaturai se amrit paan karaya. aur Devtaon ko sabal kar diya. Is tarah Danav Amrit se Vanchit rahe aur fir yudhh Karne Lag gaye. Fir Sat Yug ke Ant kaal Me Bhagvaan ne Rakshason ke Raja Bali ko Pataal lok jane par vivash kar diya. Sri Bhagvaan ne Raja Bali ke Ashva Megh yagya ke samay Baman Avtaar ke roop me aye aur Raja  Bali Se Teen Pag Bhumi Mhumi Mangi aur Raja bali ne kaha theek hai, Tab Sri Bhagvaan ne ek pag me Swarg Dusre Pag me Prithvi Naap liya Jab Sri Bhagvaan ne pucha ki teesra Pag Kaha Rakkhun Tab Raja Bali ne Apne Sir Par teesra pag rakhva diya. Iske Pashchat Shri Bhagvaan ne Raja Bali Ko Pataal lok me jane Ka adesh Diya. is Prakaar Sat Yug ke ant me Rakshas Pataal lok chale gaye. aur Sri Bhagvaan ne Devon ko aur sabal Shaktishali banana ke liye Rishiyon aur muniyon tatha brammhano ko yagya kar ke devon ko bhog lgakar unki puja karne ko kaha. jisse Dev bhogon ko Grahan karke Sabal aur shakti shali ho jaye. Ab Rishi Muni Yagya Karke devtaon ko shakti shali karne lage aur badle me Devtaon ka ashray tatha ashirvad pate rahe.

         

          Parantu TRETA YUG me Rakshas Rishi muniyon ke yagya nasht Karne lage jisse devta Shaktishali na ho paye, danav Rishi muniyon ki Hattya karne lage. Usi Samay Rakshas Kumari Keksi ne Rishi Vishrava Se Vivaah Kiya. Aur Ravan Ka Janm hua, jo janm se to brahmman tha parantu uske karmon me Rakshasi pravratti thi Parantu Ravan prakaand vidvan aur pandit bhi tha parantu uske atyachaar karne ki pravratti ke karan uske brammhan aur pandit hone ka koi arth nahi rah gaya. uske baad se hi manushyon me Kaam, Krodh, Lobh, Moh, Ye sare rakshasi avgun aa gaye Ravan ke janm ke pashchaat sampurn manav jati dheere dheere dooshit hone lagi. Keksi ke Manushya jati me vivaah karne ke baad kai rakshson ne Manushya jaati me vivaah kiya aur manushya jaati me ye Rakshasi avgun ane lage. Dharm aur dev puja Ishwar ki puja me kami ane lagi. Tab Punah Shri Bhagvaan ne Treta Yug ke Ant me Prithvi par Sri Ram ke roop me janm liya aur Adharm ke vinaash ke Liye Ravan Ka vadh kiya tatha Dharm ki sthaapna ki. Ab jab manavon me Rakshasi pravratti aa gayi thi is liye Manushya Rakshasi pravratti ka hone laga usme kai dusht bhaav aa gaye the. aur maushya hi rakshaso jaisa vyavhaar karne laga.

         

          Atah DVAPAR YUG me Kai Raja Manushya roop me hi Rakshas the. Mathura ka Raja Kans Rakshasi Pravratti ka tha. usne Apni Praja par Param Atyachaar kiya. Tab Shri Bhagvaan Apni 16 Kalaon ke saath Prithvi par Utpann hue. Swayam Kans ki bahan ke garbh se unhone janam liya aur Gokul ke Nand Baba Ke yahan Mata Yashoda Ke lalan Poshan me Bade Hue. Shri Bhagvaan ne 16 Kalaon se yukt is liye janm liya Kyonki Dvapar Yug me paap bahut hi badh gaya tha. Shri Bhagvaan ne Dvapar Yug Me Swayam Poorn Avtaar liya Aur baalya kaal me hi anek Rakshason ka vadh kiya. Tatha Prithvi par Dharm ke sabse bade Yudhh me Arjun ko Geeta ka updesh diya Unhon ne yah updesh sirf Dvapar yug ke liye nahi balki ane vale Anek yugon ke liye diya tha. unka sambodhan Keval Arjun ke Liye nahi tha Balki puri manav jaati ke liye tha. Shri Bhagvaan Ka Updesh sunne ke liye swayam samay bhi Ruk gaya tha. Us Geeta Ke Mahan se Bhi mahaan Aur gopneey Updesh ko dharti par Bahut hi Kam logon ne suna tha. Us ko sunne vale Logon me Prithvi par Arjun, Sanjay, Sanjay Dvara sunaya gaya vyakhyaan Mahraaj Dhritraashtra ne suna tatha Bheem ke Paoutra Barbareek ne suna Aisa mera mat hai. Is Mahabharat ke Yudhh ke pashchat kai dusht pravratti ke log mare gaye. tatha Prithvi par fir se shanti sthapit hui. Parantu is Dvapar Yug me Paap Ki Adhikta ke karan Kai Upyogi evam Atyant Prabhavshali log bhi mare gaye.



          Ab KAL YUG ke arambh me Tulsi Daas ne Treta Yug Ke Ram Jeevan ko pracharit kiya Tatha Bahut se mahtmao ne Mahabharat me Kahe gaye Geeta ke updesh ko bhi prachaarit kiya. Is prakaar Manushya Param Bhakti se Ramayan Aur Geeta tatha anek Pracheen in Granthon ke Anuyai Banne Lage Aur Manushya ne Ise Dharm ka naam diya Aur Is Pracheen Sabhyata ko, sanskriti ko, Hindu Dharm me Sthapit kar liya Yah Pracheen Manushya Sanskrati Ab Hindu Dharm Ban Gai tatha kuch adharmi Dharm ke naam par logon ko thagne bhi lage. Tab Shri Bhagvaan ne Mahaatma Budhh ke Roop me Janm Liya tatha logon ko gyaan ke updesh diye. Aur tab manushya ne ek naye dharm ki rachna ki jise Baudh Dharm kaha gaya. Us samay bahut kukkhyaat Daaku Jo Logon ki Ungli kaat kar unhe loot liya karta tha. jiska naam Anguli maar tha use Bhagvan Budhh ne Gyaan ki ganga me nahla kar pavitra kar diya aur uske antar man me dharm ki sthapna ki. is tarah Prathvi par do dharm stapit ho gaye. Bharat ke Nikat Baudh Dharm aur bharat me hi Sikkh dharm ka uday Bhi hua. Sikh dharm se kuch varsh purv Bharat se Pashchim disha ki oor anek dharmo ki utpatthi hui Jinme Isai Aur Muslim Dharm Ka Uday hua. Bharat Tatha Bharat ke nikat purv me Hindu tatha Baudh dharm ka prasaar tha tatha Kuch Hindu dharm ke anuyayiyon ne Baudh Dharm ko apni sweksha se apnaya. Parantu Jaha Hindu Tatha Baudh Dharm ka prasaar prachaar nahi hua tha vah thi Pashchim disha. Bharat se pashchim disha ki or Isaai Dharm Ki sthapna hui aur Islaam Dharm ki bhi sthaapna hui. Pashchimi dharmon me Achhi bate kahi gayi parantu manushya ne usme apne naye reetiyon ko jodkar uska roop parivartit kar diya tatha ye dharm Kal Yug ke Prabhaav se rakshasi pravratti ke hote gaye. Hindu Dharm me Tatha Baudh Dharm me Devtaon ki Puja Hoti thi is liye Rakshasi Pravratti Hindu dharm me Kam Matra me ayi Rakshasi Pravratti ne Hindu Dharm ko nasht karne ke liye Pashchim dharmo ko apna nivaas sthaan banaya aur Hindu Dharm ko Nuksaan Pahuchane lage. Ab is KAL YUG me Dharm chalane ki hod si lag gai manushya apne dharm ko badhane ke liye sari haden paar karne laga. pshchim sabhyata ke dharm anuyaiyon ne Bharat ki oor prasthaan kiya aur apne dharm ke prachar ke liye atyachaar kiye tatha Hindu aur baudh mandir bhi tode, yah poorn tayah rakshasi pravratti ke samaan spasht dikhai deta hai. in pashchimi dharmo ke anuyaiyon ne apne Dharm ko badhane ke liye attyachaar kiya aur jinhone dharm nahi apnaya unki hatya kar di. iske pashchaat pashchimi dharm ke anuyaiyon ne lalach dekar bhi dharm parivartan ki neeti apnai. Is tarah Puratan Dharm; hinduon tatha baudh dharm ki sankya nirantar ghatti gai aur ane vale samay me yah nirantar ghatti hi jayegi. aur pure vishva me rakshasi pravratti ka bol bala ho jayega. Pashchimi dharm ke dharmik anushthano me jeevon ki hattya kar ke unka sevan karna uchit mana jata hai. parantu Hindu tatha Baudh dharm me aisa koi anushthaan nahi hai yah is Hindu aur Baudh dharm me Rakshasi Pravratti ke kahe gaye hain. Pashchimi dharmo ke dushprabhavon ko kam karne ke liye Hindu dharm ke hi anuyaiyon ne Sikh dharm ki sthapna ki. Kal Yug me Niranatar Rakshasi Pravratti Badhti jayegi aur manushya poorn roop se ashisht aur maleen ho jayega manushhya me Kaam, Krodh, Moh, Lobh yah sabhi danavon ki pravratti aa jayegi. Manveey sambandho ka koi mol nahi rah jayega. Ghor Kal Yug me yah sab atyant hi badh jayega apsi grah sambandh nasht aur maleen ho jayege charon oor Adharm ka bol bala hoga is kal yug me dharm ke liye ladne vale manushya poorn roop se adharmi ho jayenge.



          Tab Shri Bhagvaan Apna 10 va Avtaar Prathvi par Lege Aur Dharm ki Raksha ke liye In Adharmi manav jaati ka sanghaar karege.

Shri Bhagvaan Kalki Avtaar me Dharti par ayenge. Us samay Kal Yug Apne Charam Par Hoga atah Danavi shakti attyant prabal ho chuki hogi us smay Shri Bhagvaan Divya ghode par savaar Aur Haath me Bijli ki Talvaar liye hue Manav jati ke samaksh honge ve ashisht Evam Poorn roop se Rakshasi ho chuke manushyon ka sanghaar karenge. Kalyug danvi shakti ko itna prabal bana chukka hoga ki Shri Bhagvaan Ko Kal Yug ke Ant samay me apna viraat roop dhaaran karna padega Jo ki unka Nirakaar roop hai Aur Ati Vishaal bhi, yah vahi roop hoga Jo Arjun ne Yudh se poorv Ranbhoomi me dekha tha. tatha yah vahi roop hai jo Prarambh kaal me Brammhaand ki utpatti ke samay tha. Shri Bhagvaan ne Apne Viraat roop me Sampoorn Brammhand aur Aur uske nirmaan ke karan ko dikhaya tha usi karan yani Maha Vispot se Poori srishti Pralay se nasht ho Jayegi Aur Poora brammhaand Sri Bhagvaan me nasht Hota dikhai dega Sab Shri Bhagvaan me sama Jayega Aur Fir Shri Bhagvaan Dharm ki Sthaapna ke Liye Is Brammhaand aur Srishti ka Shrijan karege.

Purano me Shri Bhagvaan ke  10 Avtar lene ka varnan milta hai. jo is prakaar hain

1.     SHRI MATSYA AVTAR

2.     SHRI KACHHAP AVTAAR

3.     SHRI BARAAH AVTAAR

4.     SHRI NARSINGH AVTAAR

5.     SHRI BAMAN AVTAAR

6.     SHRI PARASHURAM AVTAAR

7.     SHRI RAM AVTAAR

8.     SRI KRISHN AVTAAR

9.     SHRI GAUTAM BUDH AVTAAR

10. SHRI KALKI AVTAAR.



          Is KAL YUG me Kukarmo se bachne ke liye tatha Grah Sambandh aur Manveeya sambandho ko maleenta se bachaane ke liye Manushya ko janm se 25 Varsh tak tan man se aur Sampoorn roop se keval Shiksha me dhyaan dena chahiye aur Nirantar Sri Bhagvaan ki sacche man se stuti karni chahiye. use 25 varsh tak bahut si anavashyak vastuo ka prayog nahi karma chahiye Aisa mera mat hai.

manushya ko agle 25 Varshon me Grahast jeevan me Shri Bhagvaan ki Sachhe man se Stuti karte hue Apne Parivaar ke shubh jeevan ke liye chintan karte hue apne parivaar ka bharan boshan karma chahiye tatha anavashyak maleen baton ko door rakhte hue swayam ki Stri me man lagaana chahiye tatha shribhagvaan ka chintan karte hue apne me hi santosh karma chahiye aisa mera mat hai.

Manushya ko agle 25 varshon me Sri Bhagvaan ke liye chintan karna chahiye aur Shri Bhagvaan ko poorn roop se janne ka prayaas karma chahiye aur apne parivaar me apne putron tatha pautron ke samaksh sadvicharo ko prastut karma chahiye aur unhe bhi Shri Bhagvaan ke Vishay me gyaan dena chahiye aisa mera mat hai.

KAL YUG me manushya ka jeevan bahut lamba nahi hoga is liye unhe upar diye gaye sujhavon ko 75 varsh tak manna chahiye Fir bhi main agle 25 varshon ke liye kuch aur mahatva purn baat kahunga. agle 25 varshon me manushya ko nitya Sri Bhagvaan ki upasna me leen rahna chahiye aur mrittyu tak apne man ko Shri Bhagvaan me hi lagana chahiye antim samay me nitya poorn roop se Shri Bhagvaan ki upasna sachhe man se karne par Shri Bhagvaan ki prapti hoti hai aur fir manushya ko is maleen maya roopi sansaar me janm nahi lena padta.

Is Prakaar Kal yug me manushya Apne andar rakshasi pravratti ko ane se rok sakega. par main yah bhi kahunga ki KAL YUG ka Prakop Itna bhayankar hoga ki Manushya ko In Sabhi baton ka paalan karne me atyant hi kathinai hogi prantu jo is kathinaai ko paar kar jayega vah Ishvar ko praapt kar lega. Main Kal Yug me rahane vale vartmaan manushhyo ko kahta hun tatha ane vale manushyon ko bhi kahta hun ki yadi in baton ka paalan pratyek vyakti poori nishtha se karta hai to vah KAL YUG Ke prakop se bach jayega. Parantu main yah bhi kahunga ki Vartmaan samay me in baton ka manushyon se palan karvane ke liye ek uchit vyavastha sthapit karni hogi. jo koi aur nahi svayam mnushya hi sthapit kar sakta hai.
JAI SHRI BHAGVAAN

26 comments:

  1. Thanks for share truth,,,,,

    Mai chahta hu ki aap mrityu par bhi ek lekh leekhen......

    ReplyDelete
  2. thanks rajesh ji, mujhe lagta hai aapko mera dusra lekh padhna chahiye, क्या आत्मा होती है ? aap ki jigyasa shayad isme shant ho jaye.

    ReplyDelete
  3. Aapka vichaar mujhe sahi laga. sabas aise hi likhte raho...........|
    D.P. YADAV

    ReplyDelete
  4. Main bhi ek kitaab kikh raha hoon jiska Title hai JANM SE MUKTI DWAR TAK please gide me.

    D.P.YADAV

    ReplyDelete
  5. dhanyavad D.P.Yadav ji main aap ke liye yahi kahuga ki aap apni pustak dharmik hone ke saath saath vaigyanik tathyo se purn kariye tabhi log apki pustak pasand karege.. aap swayam dharmik aur vaigyanik nazariye se gahrai se vischar karke pustak likhe.

    ReplyDelete
  6. D.P. Yadav ji ap jitna adhik dharmik gyan ko vaigyanik drishti se dekhege kitab utni hi uttam hogi...

    ReplyDelete
  7. Very nice and truth bro keep writing in ur life

    ReplyDelete
  8. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  9. Yeah sansar Jo dikhta hai vah asliyat me aisa nahi hai. Asli sansar ko janne wala yeah janta hai ki yahan mera kuch bhi nahi hai..

    Agar bola jaye ki mera naam Alok hai to yeah kewal mere shareer ka naam hai. Asliyat me, main to bhitar hoon mere Ishwar ke saath, is rogi kaya me. Jaise hum kapde me khud ko rakhte hain.

    Ishwar ko kewal apna prem aur sadbhaw aprit karein. Bhookhe ko roti dein. Zarooratmand ki madad karein, aur sadbhav rakhein. Ishwar ko prem dein; sona, chandi, paise, ya abhooshan nahi. Is shristi ko banane wale ko hum kuch Dene wale kon hain..

    Jis prakar agar apne ek pustak banai hai, jiska har panna aapne apne hath se banaya hai. Ek apki tareef karta hai, apko achaa lagta hai. Aur dusra ek panna fad kar, use kaat kar koi akriti banakar apko bhet karta hai. Us waqt apko kitna dukh hoga. Yahi Us Ishwar ke saath aajkal log karte hain. Use kitna dukh hota hoga zara sochiye. Humari asliyat me aukaat hi kya hai.

    Zaroori nahi ki mandir jao aur mantra padho. Kahin bhi 2minute shant hokar swayam ko prem se arpit kar do. Ishwar ko apna Guru, Bandhu, Sakha, Pita, aur Mata jano aur apne jeewan me apnao. Yahi sacchi bhakti hai.

    On Shri Parmeshwaray Namah!

    ReplyDelete
  10. thanks for educational heritage information, aap swarg jane key liye kya kya dan karne chaiye uss par bhi lekiye

    ReplyDelete
  11. धन से बेशक गरीब रहो पर दिल से रहना धनवान अक्सर झोपडी पे लिखा होता है "सुस्वागतम" और महल वाले लिखते है "कुत्ते से सावधान".....!!

    ReplyDelete
  12. धन से बेशक गरीब रहो पर दिल से रहना धनवान अक्सर झोपडी पे लिखा होता है "सुस्वागतम" और महल वाले लिखते है "कुत्ते से सावधान".....!!

    ReplyDelete
  13. Kya aap mante hai Ki phir se car ke bajaye log ghodo se parmanu bum ke bajaye talwaro se dand dege agar ek ek ko marenge to kitna time lagega phit se log ghodo se talvaro se yudh karenge kitna accha hoga na

    ReplyDelete
  14. Kuch bakbas nhi hai it's totally true aisa ghor kalyug ayega jismein ye sab hoga tab bhagwan ka janam hoga dharam ki sthapna karne k liye.par aise ghor kalyug se pehle hi hamari death ho jaye aur bhagwan ki sharan mein rahe

    ReplyDelete
  15. JAI SHRI BHAGVAAN

    ReplyDelete
  16. Bahut badiya ..parantu...har vishay vastu ke peeche koi karan hota hai....Parmatma ne shrasti ki rachna kis karan se ki hogi..?

    ReplyDelete
    Replies
    1. आप ने अति उत्तम प्रश्न किया है | ईश्वर अनंत और अनादि उसका न अंत हैं न उत्पत्ति वह अनंत कल से है। उसके होने का कारण या तो विज्ञानं सुलझा सकता है या अध्यात्म । मैं विज्ञान की परिकल्पना के साथ इस प्रश्न का उत्तर जनता हूँ परन्तु प्रयोग करने के लिए धन की कमी है अतः उसको सिद्ध नहीं कर सकता । गुरुत्वाकर्षण ही ईश्वर है या कहे चुम्बकत्व की शक्ति ही ईश्वर है उसी से सृष्टि की उत्पत्ति होती है और उसी से अंत भी । परन्तु वह अंतरिक्ष का चुम्बकत्व चेतन्य है जिस प्रकार मानव शरीर में अनेक घटनाये सामान्यतः होती हैं उसी प्रकार उस अखिल ब्रम्हांड नायक के अंदर ही सृष्टि की उत्पत्ति और विनाश स्वतः ही होता है वह उस ईश्वर के शरीर की स्वाभाविक क्रियाएँ हैं ।

      Delete
  17. Bhagwan ne hame is duniya me isliye bheja Hai ki hum unke under hoke unki bhakti karte hain kya unse alag hoke unhe pujenge..
    Kast,garibi, dukh, ya masti, dhan, khushi me ulajh ke unhe bhul jayenge...
    Bhagwan hamari pariksha lene ke liye duniya me bheje hain...
    Jo paas hua wo unme Lin ho jayega aur jo fail hua wo fir se pariksha dilayega...
    Jai shri ram

    ReplyDelete
  18. धन से बेशक गरीब रहो पर दिल से रहना धनवान अक्सर झोपडी पे लिखा होता है "सुस्वागतम" और महल वाले लिखते है "कुत्ते से सावधान".....!!
    2-----Bhagwan ne hame is duniya me isliye bheja Hai ki hum unke under hoke unki bhakti karte hain kya unse alag hoke unhe pujenge..
    Kast,garibi, dukh, ya masti, dhan, khushi me ulajh ke unhe bhul jayenge...
    Bhagwan hamari pariksha lene ke liye duniya me bheje hain...
    Jo paas hua wo unme Lin ho jayega aur jo fail hua wo fir se pariksha dilayega...
    Jai shri ram

    ReplyDelete