OOM GANESHAY NAMAH
Vartmaan samay me
itni buraiyan vidhyamaan hain jo Kalyug ka prakop kahi jati hai parantu ane
vale samay me is Dharti par isse bhi adhik aur ghor Kalyug ane vala hai Jisme sampurna manav jaati nasht
ho jayegi. Aaj main ek aisi bahut hi ati upyogi tatha rahasya may baat batane
jaraha hun jo padhne vale tatha sunne vale ke liye ati mahatvapurn evam upyogi
hogi, tatha jo ise padhne tatha sunne ke baad bhi upyogi evam kalyankarak nahi
samajhta fir uske liye kuch bhi kahan uchit evam shreshtha nahi hoga,
Jab Praaramh me kuch bhi nahi tha keval Shunya (0) tha tab Shri
Bhagvaan ne yhan nirakaar roop me prakat hokar brammhand ki rachna ki, yah
nirakaar rup adhunik kaal me Maha vispot ke naam se jana jata hai. tabhi to
Shri bhagwaan ne geeta me kaha hai “,r|ksuhfu HkwrkfulokZ.khR;qi/kkj;A vga
d`RL=L; txr% izHko% izy;LrFkk AA” Arthat He Arjun ! tu aisa samajh ki sampurn bhut in dono
prakratiyon se hi utpann hone vale hain Aur main sampurn jagat ka prabhav tatha
parlay hun arthaat sampurn jagat ka mul
karan hun. Age Sri Bhagvaan Kahte hain ki “eRr% ijrj aUkkU;fRdfUpnfLr /kuUt; A
ef; loZfena izksra lw=s ef.kx.kk bo AA” Arthaat He Dhananjay ! mujhse bhinn dusra
koi param kaaran nahi hai. yah sampurn jagat sutra me sutra ke maniyon ke sadrishya
mujhme gutha hua hai... Is prakaar Shri Bhagvan ne swayam hi apne aapko
Mahavispot ke samaan bataya hai jo ki Adunik kaal me pure Brammhaand ki Utpatti
ka mul karan kaha jata hai. Geeta ke Satven Adhyay se ye panktiyan hain aur is
satven adhhyay ko padh kar ya sun kar Aur kuch janne yogya nahi rah jata.
Is Prakar Brammhand ki utpatti ke baad
Akaash gangaye aur hamare saur mandal ka nirmaan hua. tatha Iswar ne Apne
Sakaar roop me aakar Shrishti me kuch mahatva purn vastuo ki rachna ki. Unhone
Sarva pratham Devon Aur Danavon ko Banaya Aur Dharti Par Vyavastha sthapit
Karne ke liye 4 Varn banaye Brammhan, Ksatreey, Vaishya, Aur Shudra. Sri
Bhagvaan ne Devon ko shisht swabhaav ka banaya
tatha Danavon ko Ashisht swabhaav ka. Sri Bhagvaan ne Aisa is liye banaya
kyonki Vidhi ka vidhaan hai ki Koi bhi vastu ho chahe vah Bhagwan ki banai ho
ya Manushya ki uska ant nishchit hai, Atah Srishti ke vinash ke liye do virodhi
swabhaav ke logon ka hona ati awashyak tha. Yadi Aisa na kiya jata to Is
Srishti ki Rachna ka koi avchitya nahi rah jata. fir yah srishti anant kaal ke
lye sadaiv bani rahti Jo vidhi ke vidhan ke purntaya virudh hota. Athah Sri
Bhagvaan ne Devon ko banakar, unhe Swarg Diya
aur Danavon ko Pataal lok, tatha Srishti ke liye 4 Yugon ke kaal banaye Gaye
1.
SAT
YUG
2.
TRETA
YUG
3.
DWAPAR
YUG
4.
KAL
YUG
Shri Bhagwaan Ne
In Charo Yugon ki rachna Prithvi ke nirantar vinaash kaal ki or jane ke liye
banaye. aur kaha ki Nirantar yug beetne par Prithvi par Paap Badhte jayenge aur
vah vinaash ki oor chali jayegi arthat Mrityu ko Praapt ho Jayegi, Is Prakaar
Prithvi lok ko Mrityu Lok kaha gaya Tatha Yaha janm lene vala pratyek prani
mrityu ko rapt hone vala hota hai. Kal Yug Is Mrityu lok ka Akhri Yug Kaga gaya hai Is yug ke ant
kaal me sampurn prithvi nasht ho jayegi. Tatha Shri Bhagvaan ne Mrityu Lok ko
Kal Yug Tak Theek Prakaar se chalane ke liye Tatha Dharm ki sthapna aur Paap ko
kam karne ke liye yaha janm athva prakat hone ki baat kahi hai. unhone Geeta ke
chaothe adhyaay me Kaha hai “;nk ;nk fg /keZL; XykfuHkZofr Hkkjr A
vH;qRFkkue/keZL; rnkRekua l`tkE;geAA” Arthat He Bharat! Jab Jab Dharm ki Hani aur adharm ki vradhhi
hoti hai, tab tab main apne roopko rachta hun
arthaat sakaar roop se logon ke sammukh prakat hota hun. “ifj=k.kk;
lk/kwuka fouk’kk; p nq”d`rke~ A /keZlaLFkkiukFkkZ; lEHkokfe ;qxs ;qxs AA” Sadhu Purushon ka uddhar karne ke liye
paap karm karne valon ka vinaash karne ke liye
aur dharm ki sthaapna ke liye
main yug yug me prakat hua karta hun.
Kyonki Devta Achhi prakrati ke the aur
danavon me kaam moh lobh krodh tha is liye devtaon ko shreshta sthan diya gaya aur ve swarg me
Nivaas karne lage, parantu danavon swarg ke liye tatha uchh sthaan ke liye
devtaon se yudhha karne lage. Sat Yug me Jab deva sur Sangram hone laga tab
Rakshaso Arthat Danavon ke guru Shukracharya ne Sanjeevni viddya ka Prayog
karke Rakshason ki yudhh me madat ki Devtaon dvara mare gaye Rakshason ko Shukracharya
ne sanjeevni vidya se jeevit kar diya. is prakaar yudh me Devtao ki sena kamjor
padti gayi. aur Rakshas sabal hote gaye. Tab Sri Bhagvaan ne Devtaon ke hit ke
liye Samudra manthan karne ka upay diya. parantu yah manthan sirf Devtaon se
sampan hone vala nahi tha tab Sri Bhagvaan ne Rakshaso ke lalchi pravrati ke
hone ka upyog kiya aur kaha ki Samudra Manthan devon aur danavon dono ke liye
hit karak hai. usme nikla Amrit dono ko diya jayega. tatha aur bhi bahut si
bahumulya vastue niklegi jiska batvara devon aur danavon me barabar matra me
kiya jayega. is tarah danav sagar manthan ke liye taiyar ho gaye. Aur sagar
manthan shuru ho gaya usme sabse pahle nikla Vish Jise Bhagvaan Shankar ne
kanth me dharan kar liya fir usme anek bahu mulya vastuen nikli jisme bahut se
Manik, the Aur kalp vriksh, Kamdhenu, Lakshmi ji, Rravat Hathi tatha anek
vastue nikli jinka dono me samaan tarike se batvara hua parantu Jab Ant me Amrit
nikla Tab Shri Bhagvaan ne Mohni roop dharan kiya aur sabhi devtaon ko chaturai
se amrit paan karaya. aur Devtaon ko sabal kar diya. Is tarah Danav Amrit se
Vanchit rahe aur fir yudhh Karne Lag gaye. Fir Sat Yug ke Ant kaal Me Bhagvaan
ne Rakshason ke Raja Bali ko Pataal lok jane par vivash kar diya. Sri Bhagvaan
ne Raja Bali ke Ashva Megh yagya ke samay Baman Avtaar ke roop me aye aur
Raja Bali Se Teen Pag Bhumi Mhumi Mangi
aur Raja bali ne kaha theek hai, Tab Sri Bhagvaan ne ek pag me Swarg Dusre Pag
me Prithvi Naap liya Jab Sri Bhagvaan ne pucha ki teesra Pag Kaha Rakkhun Tab
Raja Bali ne Apne Sir Par teesra pag rakhva diya. Iske Pashchat Shri Bhagvaan
ne Raja Bali Ko Pataal lok me jane Ka adesh Diya. is Prakaar Sat Yug ke ant me
Rakshas Pataal lok chale gaye. aur Sri Bhagvaan ne Devon ko aur sabal
Shaktishali banana ke liye Rishiyon aur muniyon tatha brammhano ko yagya kar ke
devon ko bhog lgakar unki puja karne ko kaha. jisse Dev bhogon ko Grahan karke
Sabal aur shakti shali ho jaye. Ab Rishi Muni Yagya Karke devtaon ko shakti
shali karne lage aur badle me Devtaon ka ashray tatha ashirvad pate rahe.
Parantu TRETA YUG me Rakshas Rishi
muniyon ke yagya nasht Karne lage jisse devta Shaktishali na ho paye, danav
Rishi muniyon ki Hattya karne lage. Usi Samay Rakshas Kumari Keksi ne Rishi
Vishrava Se Vivaah Kiya. Aur Ravan Ka Janm hua, jo janm se to brahmman tha
parantu uske karmon me Rakshasi pravratti thi Parantu Ravan prakaand vidvan aur
pandit bhi tha parantu uske atyachaar karne ki pravratti ke karan uske brammhan
aur pandit hone ka koi arth nahi rah gaya.
uske baad se hi manushyon me Kaam, Krodh, Lobh, Moh, Ye sare rakshasi avgun aa
gaye Ravan ke janm ke pashchaat sampurn manav jati dheere dheere dooshit hone
lagi. Keksi ke Manushya jati me vivaah karne ke baad kai rakshson ne Manushya
jaati me vivaah kiya aur manushya jaati me ye Rakshasi avgun ane lage. Dharm
aur dev puja Ishwar ki puja me kami ane lagi. Tab Punah Shri Bhagvaan ne Treta
Yug ke Ant me Prithvi par Sri Ram ke roop me janm liya aur Adharm ke vinaash ke
Liye Ravan Ka vadh kiya tatha Dharm ki sthaapna ki. Ab jab manavon me Rakshasi
pravratti aa gayi thi is liye Manushya Rakshasi pravratti ka hone laga usme kai
dusht bhaav aa gaye the. aur maushya hi rakshaso jaisa vyavhaar karne laga.
Atah DVAPAR YUG me Kai Raja Manushya
roop me hi Rakshas the. Mathura
ka Raja Kans Rakshasi Pravratti ka tha. usne Apni Praja par Param Atyachaar
kiya. Tab Shri Bhagvaan Apni 16 Kalaon ke saath Prithvi par Utpann hue. Swayam Kans ki bahan ke
garbh se unhone janam liya aur Gokul ke Nand Baba Ke yahan Mata Yashoda Ke
lalan Poshan me Bade Hue.
Shri Bhagvaan ne 16 Kalaon se yukt is liye janm liya Kyonki Dvapar Yug me paap bahut
hi badh gaya tha.
Shri Bhagvaan ne Dvapar Yug Me Swayam Poorn Avtaar liya Aur baalya kaal me hi
anek Rakshason ka vadh kiya. Tatha Prithvi par Dharm ke sabse bade Yudhh me
Arjun ko Geeta ka updesh diya Unhon ne yah updesh sirf Dvapar yug ke liye nahi
balki ane vale Anek yugon ke liye diya tha. unka sambodhan Keval Arjun ke Liye
nahi tha Balki puri manav jaati ke liye tha. Shri Bhagvaan Ka Updesh sunne ke
liye swayam samay bhi Ruk gaya
tha. Us Geeta Ke Mahan se Bhi mahaan Aur gopneey Updesh ko dharti par Bahut hi
Kam logon ne suna tha. Us ko sunne vale Logon me Prithvi par Arjun, Sanjay,
Sanjay Dvara sunaya gaya
vyakhyaan Mahraaj Dhritraashtra ne suna tatha Bheem ke Paoutra Barbareek ne
suna Aisa mera mat hai. Is Mahabharat ke Yudhh ke pashchat kai dusht pravratti
ke log mare gaye. tatha Prithvi par fir se shanti sthapit hui. Parantu is
Dvapar Yug me Paap Ki Adhikta ke karan Kai Upyogi evam Atyant Prabhavshali log
bhi mare gaye.
Ab KAL YUG ke arambh me Tulsi Daas ne
Treta Yug Ke Ram Jeevan ko pracharit kiya Tatha Bahut se mahtmao ne Mahabharat
me Kahe gaye Geeta ke updesh ko bhi prachaarit kiya. Is prakaar Manushya Param
Bhakti se Ramayan Aur Geeta tatha anek Pracheen in Granthon ke Anuyai Banne
Lage Aur Manushya ne Ise Dharm ka naam diya Aur Is Pracheen Sabhyata ko,
sanskriti ko, Hindu Dharm me Sthapit kar liya Yah Pracheen Manushya Sanskrati
Ab Hindu Dharm Ban Gai tatha kuch adharmi Dharm ke naam par logon ko thagne bhi
lage. Tab Shri Bhagvaan ne Mahaatma Budhh ke Roop me Janm Liya tatha logon ko
gyaan ke updesh diye. Aur tab manushya ne ek naye dharm ki rachna ki jise Baudh
Dharm kaha gaya.
Us samay bahut kukkhyaat Daaku Jo Logon ki Ungli kaat kar unhe loot liya karta
tha. jiska naam Anguli maar tha use Bhagvan Budhh ne Gyaan ki ganga me nahla
kar pavitra kar diya aur uske antar man me dharm ki sthapna ki. is tarah Prathvi
par do dharm stapit ho gaye. Bharat ke Nikat Baudh Dharm aur bharat me hi Sikkh
dharm ka uday Bhi hua. Sikh dharm se kuch varsh purv Bharat se Pashchim disha
ki oor anek dharmo ki utpatthi hui Jinme Isai Aur Muslim Dharm Ka Uday hua.
Bharat Tatha Bharat ke nikat purv me Hindu tatha Baudh dharm ka prasaar tha
tatha Kuch Hindu dharm ke anuyayiyon ne Baudh Dharm ko apni sweksha se apnaya.
Parantu Jaha Hindu Tatha Baudh Dharm ka prasaar prachaar nahi hua tha vah thi
Pashchim disha. Bharat se pashchim disha ki or Isaai Dharm Ki sthapna hui aur
Islaam Dharm ki bhi sthaapna hui. Pashchimi dharmon me Achhi bate kahi gayi
parantu manushya ne usme apne naye reetiyon ko jodkar uska roop parivartit kar
diya tatha ye dharm Kal Yug ke Prabhaav se rakshasi pravratti ke hote gaye.
Hindu Dharm me Tatha Baudh Dharm me Devtaon ki Puja Hoti thi is liye Rakshasi
Pravratti Hindu dharm me Kam Matra me ayi Rakshasi Pravratti ne Hindu Dharm ko
nasht karne ke liye Pashchim dharmo ko apna nivaas sthaan banaya aur Hindu Dharm
ko Nuksaan Pahuchane lage. Ab is KAL YUG me Dharm chalane ki hod si lag gai
manushya apne dharm ko badhane ke liye sari haden paar karne laga. pshchim
sabhyata ke dharm anuyaiyon ne Bharat ki oor prasthaan kiya aur apne dharm ke
prachar ke liye atyachaar kiye tatha Hindu aur baudh mandir bhi tode, yah poorn
tayah rakshasi pravratti ke samaan spasht dikhai deta hai. in pashchimi dharmo
ke anuyaiyon ne apne Dharm ko badhane ke liye attyachaar kiya aur jinhone dharm
nahi apnaya unki hatya kar di. iske pashchaat pashchimi dharm ke anuyaiyon ne
lalach dekar bhi dharm parivartan ki neeti apnai. Is tarah Puratan Dharm;
hinduon tatha baudh dharm ki sankya nirantar ghatti gai aur ane vale samay me
yah nirantar ghatti hi jayegi. aur pure vishva me rakshasi pravratti ka bol
bala ho jayega. Pashchimi dharm ke dharmik anushthano me jeevon ki hattya kar
ke unka sevan karna uchit mana jata hai. parantu Hindu tatha Baudh dharm me
aisa koi anushthaan nahi hai yah is Hindu aur Baudh dharm me Rakshasi Pravratti
ke kahe gaye hain. Pashchimi dharmo ke dushprabhavon ko kam karne ke liye Hindu
dharm ke hi anuyaiyon ne Sikh dharm ki sthapna ki. Kal Yug me Niranatar
Rakshasi Pravratti Badhti jayegi aur manushya poorn roop se ashisht aur maleen
ho jayega manushhya me Kaam, Krodh, Moh, Lobh yah sabhi danavon ki pravratti aa
jayegi. Manveey sambandho ka koi mol nahi rah jayega. Ghor Kal Yug me yah sab
atyant hi badh jayega apsi grah sambandh nasht aur maleen ho jayege charon oor
Adharm ka bol bala hoga is kal yug me dharm ke liye ladne vale manushya poorn
roop se adharmi ho jayenge.
Tab Shri Bhagvaan Apna 10 va Avtaar
Prathvi par Lege Aur Dharm ki Raksha ke liye In Adharmi manav jaati ka sanghaar
karege.
Shri Bhagvaan
Kalki Avtaar me Dharti par ayenge. Us samay Kal Yug Apne Charam Par Hoga atah Danavi
shakti attyant prabal ho chuki hogi us smay Shri Bhagvaan Divya ghode par
savaar Aur Haath me Bijli ki Talvaar liye hue Manav jati ke samaksh honge ve
ashisht Evam Poorn roop se Rakshasi ho chuke manushyon ka sanghaar karenge.
Kalyug danvi shakti ko itna prabal bana chukka hoga ki Shri Bhagvaan Ko Kal Yug
ke Ant samay me apna viraat roop dhaaran karna padega Jo ki unka Nirakaar roop
hai Aur Ati Vishaal bhi, yah vahi roop hoga Jo Arjun ne Yudh se poorv Ranbhoomi
me dekha tha. tatha yah vahi roop hai jo Prarambh kaal me Brammhaand ki utpatti
ke samay tha. Shri Bhagvaan ne Apne Viraat roop me Sampoorn Brammhand aur Aur
uske nirmaan ke karan ko dikhaya tha usi karan yani Maha Vispot se Poori
srishti Pralay se nasht ho Jayegi Aur Poora brammhaand Sri Bhagvaan me nasht
Hota dikhai dega Sab Shri Bhagvaan me sama Jayega Aur Fir Shri Bhagvaan Dharm
ki Sthaapna ke Liye Is Brammhaand aur Srishti ka Shrijan karege.
Purano me Shri
Bhagvaan ke 10 Avtar lene ka varnan
milta hai. jo is prakaar hain
1.
SHRI
MATSYA AVTAR
2.
SHRI
KACHHAP AVTAAR
3.
SHRI
BARAAH AVTAAR
4.
SHRI
NARSINGH AVTAAR
5.
SHRI
BAMAN AVTAAR
6.
SHRI
PARASHURAM AVTAAR
7.
SHRI
RAM AVTAAR
8.
SRI
KRISHN AVTAAR
9.
SHRI
GAUTAM BUDH AVTAAR
10.
SHRI
KALKI AVTAAR.
Is KAL YUG me Kukarmo se bachne ke
liye tatha Grah Sambandh aur Manveeya sambandho ko maleenta se bachaane ke liye
Manushya ko janm se 25 Varsh tak tan man se aur Sampoorn roop se keval Shiksha
me dhyaan dena chahiye aur Nirantar Sri Bhagvaan ki sacche man se stuti karni
chahiye. use 25 varsh tak bahut si anavashyak vastuo ka prayog nahi karma
chahiye Aisa mera mat hai.
manushya ko agle 25 Varshon me Grahast jeevan me Shri Bhagvaan ki
Sachhe man se Stuti karte hue Apne Parivaar ke shubh jeevan ke liye chintan
karte hue apne parivaar ka bharan boshan karma chahiye tatha anavashyak maleen
baton ko door rakhte hue swayam ki Stri me man lagaana chahiye tatha
shribhagvaan ka chintan karte hue apne me hi santosh karma chahiye aisa mera
mat hai.
Manushya ko agle 25 varshon me Sri Bhagvaan ke liye chintan karna
chahiye aur Shri Bhagvaan ko poorn roop se janne ka prayaas karma chahiye aur apne
parivaar me apne putron tatha pautron ke samaksh sadvicharo ko prastut karma
chahiye aur unhe bhi Shri Bhagvaan ke Vishay me gyaan dena chahiye aisa mera
mat hai.
KAL YUG me manushya ka jeevan bahut lamba nahi hoga is liye unhe
upar diye gaye sujhavon ko 75 varsh tak manna chahiye Fir bhi main agle 25
varshon ke liye kuch aur mahatva purn baat kahunga. agle 25 varshon me manushya
ko nitya Sri Bhagvaan ki upasna me leen rahna chahiye aur mrittyu tak apne man
ko Shri Bhagvaan me hi lagana chahiye antim samay me nitya poorn roop se Shri
Bhagvaan ki upasna sachhe man se karne par Shri Bhagvaan ki prapti hoti hai aur
fir manushya ko is maleen maya roopi sansaar me janm nahi lena padta.
Is Prakaar Kal yug me manushya Apne andar rakshasi pravratti ko
ane se rok sakega. par main yah bhi kahunga ki KAL YUG ka Prakop Itna bhayankar
hoga ki Manushya ko In Sabhi baton ka paalan karne me atyant hi kathinai hogi
prantu jo is kathinaai ko paar kar jayega vah Ishvar ko praapt kar lega. Main
Kal Yug me rahane vale vartmaan manushhyo ko kahta hun tatha ane vale manushyon
ko bhi kahta hun ki yadi in baton ka paalan pratyek vyakti poori nishtha se
karta hai to vah KAL YUG Ke prakop se bach jayega. Parantu main yah bhi kahunga
ki Vartmaan samay me in baton ka manushyon se palan karvane ke liye ek uchit
vyavastha sthapit karni hogi. jo koi aur nahi svayam mnushya hi sthapit kar
sakta hai.
JAI SHRI BHAGVAAN
Thanks for share truth,,,,,
ReplyDeleteMai chahta hu ki aap mrityu par bhi ek lekh leekhen......
thanks rajesh ji, mujhe lagta hai aapko mera dusra lekh padhna chahiye, क्या आत्मा होती है ? aap ki jigyasa shayad isme shant ho jaye.
ReplyDeleteAapka vichaar mujhe sahi laga. sabas aise hi likhte raho...........|
ReplyDeleteD.P. YADAV
Main bhi ek kitaab kikh raha hoon jiska Title hai JANM SE MUKTI DWAR TAK please gide me.
ReplyDeleteD.P.YADAV
dhanyavad D.P.Yadav ji main aap ke liye yahi kahuga ki aap apni pustak dharmik hone ke saath saath vaigyanik tathyo se purn kariye tabhi log apki pustak pasand karege.. aap swayam dharmik aur vaigyanik nazariye se gahrai se vischar karke pustak likhe.
ReplyDeleteD.P. Yadav ji ap jitna adhik dharmik gyan ko vaigyanik drishti se dekhege kitab utni hi uttam hogi...
ReplyDeleteThanku for above
ReplyDeleteVery nice and truth bro keep writing in ur life
ReplyDeletevery nice and true
ReplyDeleteFantastic
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteYeah sansar Jo dikhta hai vah asliyat me aisa nahi hai. Asli sansar ko janne wala yeah janta hai ki yahan mera kuch bhi nahi hai..
ReplyDeleteAgar bola jaye ki mera naam Alok hai to yeah kewal mere shareer ka naam hai. Asliyat me, main to bhitar hoon mere Ishwar ke saath, is rogi kaya me. Jaise hum kapde me khud ko rakhte hain.
Ishwar ko kewal apna prem aur sadbhaw aprit karein. Bhookhe ko roti dein. Zarooratmand ki madad karein, aur sadbhav rakhein. Ishwar ko prem dein; sona, chandi, paise, ya abhooshan nahi. Is shristi ko banane wale ko hum kuch Dene wale kon hain..
Jis prakar agar apne ek pustak banai hai, jiska har panna aapne apne hath se banaya hai. Ek apki tareef karta hai, apko achaa lagta hai. Aur dusra ek panna fad kar, use kaat kar koi akriti banakar apko bhet karta hai. Us waqt apko kitna dukh hoga. Yahi Us Ishwar ke saath aajkal log karte hain. Use kitna dukh hota hoga zara sochiye. Humari asliyat me aukaat hi kya hai.
Zaroori nahi ki mandir jao aur mantra padho. Kahin bhi 2minute shant hokar swayam ko prem se arpit kar do. Ishwar ko apna Guru, Bandhu, Sakha, Pita, aur Mata jano aur apne jeewan me apnao. Yahi sacchi bhakti hai.
On Shri Parmeshwaray Namah!
thanks for educational heritage information, aap swarg jane key liye kya kya dan karne chaiye uss par bhi lekiye
ReplyDeleteधन से बेशक गरीब रहो पर दिल से रहना धनवान अक्सर झोपडी पे लिखा होता है "सुस्वागतम" और महल वाले लिखते है "कुत्ते से सावधान".....!!
ReplyDeleteधन से बेशक गरीब रहो पर दिल से रहना धनवान अक्सर झोपडी पे लिखा होता है "सुस्वागतम" और महल वाले लिखते है "कुत्ते से सावधान".....!!
ReplyDeleteKya aap mante hai Ki phir se car ke bajaye log ghodo se parmanu bum ke bajaye talwaro se dand dege agar ek ek ko marenge to kitna time lagega phit se log ghodo se talvaro se yudh karenge kitna accha hoga na
ReplyDeleteSab bakabas he
ReplyDeleteSab bakabas he
ReplyDeleteSab bakabas he
ReplyDeleteKuch bakbas nhi hai it's totally true aisa ghor kalyug ayega jismein ye sab hoga tab bhagwan ka janam hoga dharam ki sthapna karne k liye.par aise ghor kalyug se pehle hi hamari death ho jaye aur bhagwan ki sharan mein rahe
ReplyDeleteJAI SHRI BHAGVAAN
ReplyDeleteBahut badiya ..parantu...har vishay vastu ke peeche koi karan hota hai....Parmatma ne shrasti ki rachna kis karan se ki hogi..?
ReplyDeleteआप ने अति उत्तम प्रश्न किया है | ईश्वर अनंत और अनादि उसका न अंत हैं न उत्पत्ति वह अनंत कल से है। उसके होने का कारण या तो विज्ञानं सुलझा सकता है या अध्यात्म । मैं विज्ञान की परिकल्पना के साथ इस प्रश्न का उत्तर जनता हूँ परन्तु प्रयोग करने के लिए धन की कमी है अतः उसको सिद्ध नहीं कर सकता । गुरुत्वाकर्षण ही ईश्वर है या कहे चुम्बकत्व की शक्ति ही ईश्वर है उसी से सृष्टि की उत्पत्ति होती है और उसी से अंत भी । परन्तु वह अंतरिक्ष का चुम्बकत्व चेतन्य है जिस प्रकार मानव शरीर में अनेक घटनाये सामान्यतः होती हैं उसी प्रकार उस अखिल ब्रम्हांड नायक के अंदर ही सृष्टि की उत्पत्ति और विनाश स्वतः ही होता है वह उस ईश्वर के शरीर की स्वाभाविक क्रियाएँ हैं ।
DeleteBhagwan ne hame is duniya me isliye bheja Hai ki hum unke under hoke unki bhakti karte hain kya unse alag hoke unhe pujenge..
ReplyDeleteKast,garibi, dukh, ya masti, dhan, khushi me ulajh ke unhe bhul jayenge...
Bhagwan hamari pariksha lene ke liye duniya me bheje hain...
Jo paas hua wo unme Lin ho jayega aur jo fail hua wo fir se pariksha dilayega...
Jai shri ram
धन से बेशक गरीब रहो पर दिल से रहना धनवान अक्सर झोपडी पे लिखा होता है "सुस्वागतम" और महल वाले लिखते है "कुत्ते से सावधान".....!!
ReplyDelete2-----Bhagwan ne hame is duniya me isliye bheja Hai ki hum unke under hoke unki bhakti karte hain kya unse alag hoke unhe pujenge..
Kast,garibi, dukh, ya masti, dhan, khushi me ulajh ke unhe bhul jayenge...
Bhagwan hamari pariksha lene ke liye duniya me bheje hain...
Jo paas hua wo unme Lin ho jayega aur jo fail hua wo fir se pariksha dilayega...
Jai shri ram
jai shri krishna....
ReplyDelete