Collection Of Rohit

By Rohit.

 

Rista nahi kisi ka kisi shakhs se magar,
ham mahjabo ke sath hai hamdard se magar,
jab aai khud pe baat to lab band ho gaye,
pahle bahut the garm ab hai sard se magar,
ab gamo ki gard mere chehre pe aa padi,
parhej bhi lagaw bhi hai is gard se magar,
aandhi chaman me aayi to sab bekhabr rahe,
mere dil ke ful ho gaye kyo jard se magar.

                                       ..........By Rohit..........

Majburi kya thi aapki kabhi batayi to hoti,
is judaai ki wajah kabhi samjhayi to hoti,
apni jaan bhi de dete ham tohfe me aapko.
meri maut ki khwahish jatai to hoti.
jaan kar bhi tum anjaan rahe,
mere dil ke fasane ko.
apni hi kahani kabhi sunai to hoti.
yu chale jana tha meri yado ki mahfil se 
to armano ki sej hamne sajayi na hoti,
mujhse dur rahkar tu khus hai apno ke sath me,
na karte mohabbat tujhse.to ye rushwayi na hoti,,
                                                          .... By Rohit...

Na chhu saku tujhe to kya tera ehsaas hi kafi hai.
na pa saku tujhe to kya teri aas hi kafi hai.
kya huwa jo na mili hasrto se saji rate.
tere sath gujri meri wo ek raat hi kafi hai,
khusiyo ki dhup me gam ki ghata chha gayi.
fir aankho se jo barsi wo barsaat hi kafi hai,
tumse milne ka to mera nasheeb na ye "hamdam"
khwabo me tujhse bas ek mulakaat hi kafi hai".
                                                        .... By Rohit...